Waada lyrics- Arjun Kanungo feat.Shehnaaz Gill | latest Hindi song | onlinelyrics2020

Waada lyrics- Arjun Kanungo feat.Shehnaaz Gill | latest Hindi song | onlinelyrics2020

Waada is a Latest hindi song , sang , composed & performed by Arjun Kanungo.Waada song features Shehnaaz Gill & Arjun Kanungo.


Song: Waada Hai;
Artist(s): Arjun Kanungo
Lyricist(s): Manoj Muntashir
Composer(s): Arjun Kanungo
Actor(s): Shehnaaz Gill, Arjun Kanungo


Waada Lyrics



"Waada Hai" Lyrics

Tujhse Shuru
Hua Jo Tujhse Shuru
Wo Qisaa Tujhpe Hi Le
Hua Khatam

Hoga Nahin
Ye Humse Hoga Nahin
Kisi Ko Denge Nahin
Teri Jagah Hum

Tere Bina
Jiyein To Kyun
Ye Sawaal Baar-Baar Aataa Hai

Tere Agar
Na Ho Sake
Kisi Aur Ke Na Honge Waada Hai
Kisi Aur Ke Na Honge Waada Hai

Wahi Roz Teri Kami
Wahi Aankh Me Hai Nami
Wahi Dooriyan Satayein
Bata Kya Karoon
Jisse Tu Na Apna Kahe
Jahan Tu Na Aake Rahe
Wo Dil Main Khud Tod Doon

Hai Ashiqi Tu Akhiri
Hai Zid Meri Tu Akhiri
Aansoo Mera Meri Hasi
Tu Akhiri

Tere Bina
Main Kuchh Nahin
Ye Khayal Baar-Baar Aata Hai

Tere Agar
Na Ho Sake
Kisi Aur Ke Na Honge Waada Hai
Kisi Aur Ke Na Honge Waada Hai

Aaye Na Aaye Marzi Teri
Yaara Khuli Hain Baahein Meri
Teri Gali Se Taa-Zindagi
Hongi Juda Na Raahein Meri

Kissa Ye Kyun
Aadha Raha
Ye Malaal Baar-Baar Aataa Hai

Tere Agar
Na Ho Sake
Kisi Aur Ke Na Honge Waada Hai
Kisi Aur Ke Na Honge Waada Hai

***Thank You***
Subscribe my site for new lyrics .& dont forget to share with your friends...
Reactions

Post a Comment

0 Comments